🔵 Bartan kachcha ho ya pakka 3 baar dhone se paak ho jata he. 🔴 Washing machine me sabun ke paani me kapdo ko dhoya jata he aur fir us paani ko nikaal kar naya paani daala jata he aur ye amal baar baar kiya jata he yaha tak k kapdo se sabun nikal jata he isliye Washing machine me dhule hue kapde paak he'n. 👉 Napaak kapde ko paak karne ke liye ye shart he k 3 martaba paak paani me daala jaye aur har martaba khub nichoda jaye, Dry clean se me is tadbeer per amal nahi hota isliye waha dhule kapde paak nahi.
🔵 Dry Cleaning ke dhule Kapdo ka Hukm,. 🔴 Bachche ka peshab napaak he isliye kapde ka paak karna zaruri he aur paak karne ke liye itna kaafi he ke peshab ki jagah per itna paani baha diya jaye k jitne paani se wo kapda 3 martaba bheeg sake. 🔵 Nazla aur Zukaam ki vajah se Jo paani naak se behta he wo najis aur napaak nahi he kyuki ye kisi zakhm se kharij nahi hota na kisi zakhm per se guzar kar aata he. 🔴 Hoz se vazu karte waqt ahatyat se kaam Lena chahiye k chhinte hoz me na gire lekin in chhinto se hoz napaak nahi hota.
🔵 Jis shakhs ko ye marz ho Der tak use qatre aate rehte ho use paani ke saath istinja karne se pehle dhele ya tishu paper ka istemal laazim he, jab itminan ho jaye tab paani se istinja kare.